Wednesday 19 October 2016

Raat bhar nahi sote teri yaad me aksar


Raat bhar nahi sote teri yaad me aksar..
Bedard zamane ka bahana sa bana ke..
Hum toot k rote hain teri yaad me aksar..
Bhool jaaye tumhe ye to mumkin hi nahi..
Hum khudko bhool jate hai teri yaad me aksar....

Sunday 16 October 2016

Har Waqt Apni Aankhon Ke Samne Tumko Paya Hai You Are My Valentine


Har Waqt Apni Aankhon Ke Samne Tumko Paya Hai,
Apne Jahan-E-Dil Mein Sirf Tumko Hi Basaya Hai,

Hisab-E-Mohabbat Kabhi Na Puchhna Mujhse,
Kyonki Khud Ko Khone Ke Baad Tumko Paya Hai,

Kabhi Chodna na sath mera Meri Maksad-E-Zindagi,
Ek Arshe Ke Baad Dil Aaj Muskaraya Hai,

Hansi De Ke In Labon Ko Kabhi Rula Na Dena,
Zindagi Tumse Hi Hai Meri Ye Samajh Aaya Hai,

Zindagi Ki Raahon Mein Kabhi Na Ruthna Mujhse,
Maine Apne Khawabon Ko Tumse Hi Sajaya Hai.....

Thursday 13 October 2016

Tere Chhoone Se Ehsaas Hua Hai Aise


Tere Chhoone Se Ehsaas Hua Hai Aise,
Bahut Kuchh Baaki Hai Zindgi Mein Abhi Jaise..

Ek Aahat Se Teri Dil Mein Mere,
Jeene Ki Tamannna Fir Se Laut Aayi Ho Jaise..

Har Us Manzar Ki Chah Hai Mujhe,
Jis Lamhe Tum Mere Saath Ho,
Bekhabar Se Hote Hai Jab Lati Hai Hawa Khushbu tumhari,
Zindgi Saari Un Lamho Me Simat Aayi Ho Jaise..

Madhosh Ho Jaate Hai Is Kadar Hum,
Jab Dekhte Ho #Aankho Me Tadap Ke Tum..

Kaapte Hain Lub Bhi Teri Har Baat Ke Saath,
Dil Mein Nahi Mohabbat Rooh Mein Samaayi Ho Jaise..

Sunday 9 October 2016

Shayari for Valentine Day Tujhe Chahte Hai Be Inteha Par Chahna Nhi Aata


Tujhe chahte hai be inteha par chahna nhi aata,
Ye kaisi mohabbat hai k hamein kehna nahi aata

Zindagi mein aa jao hamari zindagi ban kar,
Ke tere bin hamein zinda rehna nahi aata,

Har pal tujhe bus tujhe duaon me mangte hain,
Kya kare ke tumhare siwa kuchh mangna nhi aata..